Assalam-u-Alekum...!
Aksar ham sab ka guzar bazaro sey hota hey kuch na kuch khareed o frokht k silsiley main. Buhut sey esey manazir hain jo hamain rozana buhut mamoli noiyat ke lagtey hongey lekin agar ghor se dekha jaey tu har manzr kisi na kisi Big Picture ki taraf ishara karta he. Esa hi aik manzar meri nazar sey guzra jab main market sey guzar raha tha..meney dekha k eik dukan ke saamney eik pani peeney ki cooler k sath eik paani piney ka glass chain (zanjeer) sey bandha howa rakha tha. Ye manzar yaqeenan is sey pehley bhi meney buhut bar dekha he lekin jo khayal us din zehan me aya wo najaaney pehley kion nahi aya. Kia hamari qom itni ziada apni hesiyat kho chuki he k ham awaam-un-naas ki bhalai ke liye rakhey gaey pani ke glass ko bhi chori kar letey hain? Kia hamari qoomi hamiyyat aur qomi gherat is had tak gir chuki he k ham itni si cheez jo raah chaltey beshumar logon ko faida det he, usey bhi chura kar le jatey hain? Kia ham ney waqi apni qoomi gherat ko 10 Rs ke glass ke aiwaz baich dia he? In sawalat k jawab shayad ham main sey ksii k pas nahi lekin sochna zaroor...!
No comments:
Post a Comment